Iron Law Of Universe - Law of success

Kisi bhi field mein 20% log 80% amount kamate hai and baaki 80% log sirf 20% kamate hai, apko decide Karna hai ki apko 80%kamana hai ya 20%. Apka suagat hai Hindi Motivation mein main Parichay Vashisht fir aa chuka hu ek aur nyi Hindi Motivational Podcast mein, aaj hum baat karenge “Iron Law Of Universe” ki.


Iron Law Of Universe

Ye law ye khaita hai ki har ek effect ka har ek cause hota hai. Yani ki agr apko kisi field mein success paani hai, toh apko sabse phele ye plan Karna hai ki apko success kasie milegi, fir uski practice Karni hai and vo chezz karte rhiana hai jab tak aap success nhi paa leta, mtlb ki aap vo kaam karogey Baar Baar jo successful log karte hai toh apko successful hone se koi nhi rok sakta. Agr apko successful YouTuber banna hai toh apko vo Karna hoga jo successful YouTuber karte hai, unka content copy nhi Karna hai balki ye dekhna hai ki vo ye content banate Kaise hai, kyu log unke pass jaate hai.


Agr aur bhi simple Bhasha mein samjhau toh aap jis chezz k beej bogey ussi ka ped apko milega, agr aap ped se khush nhi ho Jon apke pass hai a bhi toh apko ek dusra beej bonne ki jarurat hai, agr apko 5 Saal baad mango ka tree chaheye toh apko aaj Isi watq mango ka bheej bona hoga, mtlb 5 Saal baad agr apko success chaheye toh aaj he uske liye kuch karna hoga.


The Secrets of Success

Ek baari ek TV journalist ne Duniya k sabse Ameer self made billionaire H.L. Hunt se pucha tha ki “Apke secrets of success kya hai?” Toh usne kha ki sirf 3 requirements hai, phehli decide karo apko exactly kya chaheye life mein. Dusri pata lagao ki kya Karna padega apko, apko kya price pay Karna hai vo chezz hassil karne k liye, and teesri sabse important hai, uss chezz ka price pay karro mtlb har ek kaam Karo success paane k liye jo jaruri hai.


Learn from the experts

Ek Baar Brian Tracy ko uske dost ne ek dentist ko recommend kiya tha and vo uske pass gaya and bhout he Jada impress hua uske k dental work se. usne pucha dentist se ki aap itne aache se kasie apna dental work kiya mtlb baaki dentists ka bhi tine aacha nhi hota hai, toh Brian ko pata chala ki vo dentist, dentist ka bhidetist hai, mtlb jab bhi baaki dentist ko kaam padta hai toh vo iss dentist k pass aate hai, and usne kha se Sikha ye sab toh dentist ne batay ki vo alomost har dental seminar mein gaya hai is county k, kyuki Asie seminars mein breakthrough technology k baare mein batate hai, kya latest aaya hai dental industry mein, ek Baar vo Hongkong Gaye the , Jha par ek Japanese Bande ne ek aisi nyi technology banyi thi jiska naam tha cosmetic surgery jisse insaan k daanth aache dikhte the and insaan ko aur Jada khubsurat banate the, usne der nhi ki and san digo mein wapis aake iss technology ki practice Karne Laga and kuch he saalo mein usne ek national reputation bana li log country k dusre dusre kone se sirf is Bande se ilaaj karwane aarhae the, and usne iss chezz se kafi paisa kamaya.



Ye pay the price wali baat agli podcast mein mein bataunga aachi tarah, aur main har Sunday nikalta hu nyi podcast agr apko chahey toh main hafte mein do Baar bhi nikal sakta hu merko DM karke batana  Instagram pe ki apko hafte mein 2 Baar podcast chaheye ya sirf ek Baar kafi hai, id hai parichay.26 and aaj ka shoutout jata hai Shudanshu Tiwari ko jinhone bola ki really liked your podcast on spotify, so thank you so much shudhanshu apke itne kind words k liye. And ek aur chezz Maine abse jo bhi ye podcast mein bolta hu usko written format mein apne blog pe bhi dalna shuru kar diya hai toh agr kisi ko same chezz Padhi ho toh mere blog ka link niche mil jayega description mein, abb milte hai next podcast mein.


P.S - Ignore the spellings.


Instagram - Parichay.26

Podcast - Hindi Motivation

Quora - Parichay Vashisht

Comments